Ae kaash! phir Madine mein Attar ja sake Ro ro ke haal Shah ko apna suna sake
Pichhle baras to hazir-e-dar ho gaya tha aah Is saal kaash Hajj ka sharaf phir se pa sake
Ya Rabb-e-Mustafa! koi aisa sabab bana Saaye mein maut Gumbad-e-Khizra ke aa sake
Taibah bula, ya woh dil-e-ghamgeen de mujhe Dil se na tera gham koi mere mita sake
Ya Rabb paye Raza mujhe woh aankh de ki jo Ishq-e-Rasool-e-Pak mein aansu baha sake
Woh aag mere seene mein Aaqa lagaiye Patthar se sakht qalb ko bhi jo jala sake
Sarkar chaar yaar ka deta hoon wasita Aisi bahaar do na khizaan paas aa sake
Dushman agarcha ghaat mein hai koi gham nahin Un ki madad rahe to bigaar apna kya sake
Chashm-e-karam ho aisi ki mit jaaye har khata Koi gunah mujh se na Shaitan kara sake
Hai sabr to khazana-e-Firdous bhaiyo Aashiq ke lab pe shikwa kabhi bhi na aa sake
Jis waqt sunnaton ka main karne lagoon bayaan Aisa asar ho paida jo dil ko hila sake
Meri zabaan mein woh asar de Khudaye Pak Jo Mustafa ke ishq mein sab ko rula sake
Attar tere haami-o-nasir hain Mustafa Kis ki majaal hai ki jo tujh ko daba sake





