Ae kaash ke aajaye Attar Madine mein Bulwa lo khudara! ab Sarkar Madine mein
Kab tak main phirun dar dar marne bhi do ab Sarwar! Dehleez pe sar rakh kar Sarkar Madine mein
Rauze ke qareeb aakar gir jaaun main ghash khakar Hojaye tumhara phir deedar Madine mein
Roti hui aankhon se betab nigahon se Ho Gumbad-e-Khizra ka deedar Madine mein
Duniya ke ghamon ki tum lillah dawa dedo Bulwa ke gham apna do Sarkar Madine mein
Mil jaye shifa isko darbar-e-Muhammad se Aajaye jo koi bhi beemar Madine mein
Ho "Dawat-e-Islami" ki dhoom machi har su Tarkeeb ho markaz ki Sarkar Madine mein
Thehro ge shafa'at ke haqdar yaqeenan tum Aajaao gunahgaro! ik baar Madine mein
Ikhlas ata kardo aur khulq bhala kar do! Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Beja na hansi aaye sanjeeda bana dije Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Allah ki ulfat do aur apni mohabbat do Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Betab jigar dedo aur aankh bhi tar dedo Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Isyan ki dawa dedo Sarkar shifa dedo Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Is nafs-e-sitamgar ko qabu mein mere kardo! Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Duniya ki mohabbat se dil paak mira kar do Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Rona bhi sikha do aur sikhla do tarapna bhi Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Aankhon mein samajaao seene mein utar aao Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Jalwon se dil-e-viran aabad karo jaana Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Sag apna mujhe keh do qadmon mein mujhe rakh lo Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Qadmon se lagalo tum deewana banalo tum Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Qismat meri chamka do turbat miri banwa do Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein
Ramzan ki baharein hon Taiba ki fazaein hon Aur jhoomta phirta ho Attar Madine mein





