We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ayat Ayat Mein Payambar BolayNot Verified

Muzaffar Warsi

Aayat aayat mein payambar bole Aur phir rooh ke andar bole


Kis qayamat ka woh insaan hoga Jis ki taa'id mein patthar bole


Aap sartapa Khuda ki aawaz Lab hon khamosh to paikar bole


Pyaas jab husn-e-sam'aat ban jaaye Un ke hathon mein samundar bole



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Mere andar ka Bilal-e-Habshi Masjid-e-ishq pe chadh kar bole


Hosh mein karta hoon aisi baatein Jaise masti mein qalandar bole


Dekhta hoon jo Muhammad ﷺ ki taraf Kabhi aankhein kabhi manzar bole


Un ke qadmon pe rahe sar mera Un ke lehje mein muqaddar bole


Hashr ka din hai ke yaum-e-aawaz Mera har uzw Muzaffar bole

Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah