Aaya shaoor-e-haq ka risalat panah se Kaun aashna tha warna wujood-e-Ilah se
Tauheed ko samajh na dil-e-be-nigah se Noor-e-Nabi juda nahi noor-e-Ilah se
Iqrar jab tak na risalat ka kijiye Chalta nahi hai kaam faqat la ilaha se
Duniya qareena seekh rahi hai hayat ka Khatm-ur-Rusul ki seerat-e-insan panah se
Allah ne un ke waste qibla badal diya Sajdon ko aitbaar mila qibla-gah se
Haq ki namood, anfus-o-aafaq ka wujood Sab kuch hai ek bandah-e-khilqat panah se
Bande mein aur Khuda mein hui rasm-o-rah-e-shauq Paida hua jo rabta shahon ke shah se





