Aaya hai bulawa phir ik baar Madine ka Phir jaake main dekhunga darbar Madine ka
Gulshan se haseen tar hai kuhsaar Madine ka Be-misal jahan mein hai gulzar Madine ka
Main phool ko choomunga aur dhool ko choomunga Jis waqt karunga main deedar Madine ka
Aankhon se laga lunga aur dil mein basa lunga Seene mein utarunga main khaar Madine ka
Seene mein Madinah ho aur dil mein Madinah ho Aankhon mein bhi ho naqsha Sarkar! Madine ka
Laati hai sar-e-baaleen rehmat ki ada un ko Jis waqt tadapta hai bimaar Madine ka
Rote hain jo deewane be-taab hain mastane Un sab ko dikha deeje darbar Madine ka
Rota hai jo raaton ko ummat ki mohabbat mein Woh Shaafi-e-Mahshar hai Sardar Madine ka
Raaton ko jo rota hai aur khaak pe sota hai Gham-khwaar hai, saada hai mukhtar Madine ka
Qabze mein do aalam hain par haath ka takiya hai Sota hai chatai par Sardar Madine ka
Dukh dard jahan bhar ke sab door shaha karke Mujh ko to bana leeje bimaar Madine ka
Is dar ke bhikari ki jholi mein do aalam hain Shahon se bhi badh kar hai naadaar Madine ka
Maqbool jahan bhar mein ho "Dawat-e-Islami" Sadqa tujhe aye Rabb-e-Ghaffar! Madine ka
Taqdeer chamak utthe qismat hi to khul jaaye Ban jaaye jo adna sa sag, Attar Madine ka





