Awwal us ka aakhir us ka Batin jaisa zahir us ka
Roshni wa aaeena mujassam Sallallahu alaihi wa sallam
Taj na turra maal na maya Aur sari makhlooq riyaya Insanon ke Bhag jagaye Tehzeebon ki palati kaya Us ka takallum hukm-e-Ilahi Us ki zaban se bole Khuda hi Baat aafaqi lehja maddham Sallallahu alaihi wa sallam
Jang bhi us ki amn ki hamil Waar bhi us ka pyaar ke qabil Takht chatai Mulk khudai Ghaar parao Sidratul Muntaha manzil Dushman-e-jaan bhi us ko bhayen Tegh-e-tawakkul teer duaen Zaat hi lashkar haath hi parcham Sallallahu alaihi wa sallam Pyaar Nabi ka zikr Nabi ka Rooh ka jhoomar nutq ka teeka Laakh bura hoon Us ko hi chahoon Jaisa hoon kehlaoon usi ka Us ki aahat us ka saya Mera dhan mera sarmaya Us ka ism hi ism-e-aazam Sallallahu alaihi wa sallam
Yaad mein us ki aankh bhigona Andar se hai ujla hona Us nagri ke Sang bhi heere Un pairon ki khaak bhi sona Qurbat-e-Yazdan chaah mein us ki Us ke safar mein raah mein us ki Zarray bhi jugnoo dhoop bhi shabnam Sallallahu alaihi wa sallam
Khair-o-shar ki jang churi hai Duniya hum par tang hui hai Aansoo chun le Kaash woh sun le Ummat us ki cheekh rahi hai Reham ki baarish karne wala Woh hai Ya Allah Ta'ala Hum us ke woh haq ka mehram Sallallahu alaihi wa sallam





