Attaar ne darbar mein daaman hai pasara Hai izn-e-Madinah ka talabgar bechara
Chamka do shaha! mere muqaddar ka sitara Phir hajj ka sharaf mujh ko ata kar do khudara
Main saal-e-guzashta bhi to aaya tha Madine Is saal bhi ho jaaye Madine ka nazara
Makke ki haseen shaam ki dekhun main bahaarein Phir dekhun Madine ki shaha subh-e-dil-ara
’’Samaan-e-Madinah‘‘ to shaha! laake rakha hai Ab de do safar ka bhi humein izn khudara
Mayus nahi tum se ye deewane tumhaare Ab kar do karam tum na karo der khudara
Takheer hui jaati hai kyun koch mein aakhir? Tashweesh mein Taibah ka musafir hai bechara
Bigda hua har kaam sanwar jaaye ga mera Kar dein ge shaha! aap jo abroo ka ishara
Sarkar! Madine mein isi saal bulaalo Ae Shah! badi aas se hai tum ko pukara
Ya Rabb humein Makke ki fazaon mein bulaale Aur khana-e-Kaaba ka karein jam ke nazara
Ho jaaye meri haaziri Arafat o Mina mein Aur Muzdalifah ka bhi karun khoob nazara
Jo hijr-e-Madinah mein tadapte hain shab o roz Kar lein kabhi Taibah ka shaha! woh bhi nazara
Kis tarah Madine mein mera dakhila ho ga Aalooda wujood aah! gunahon se hai sara
Ae kaash! meri aankh ho deedar ke qabil Jee bhar ke karun Gumbad-e-Khazra ka nazara
Marne do Madine mein mujhe qaafile waalo Ae chara garo! tum bhi na karna koi chara
Hum jaayein kahan aur shaha kis ko pukarein Hamdard nahi tere siwa koi hamara
Dukhiyon ka nahi tere siwa koi bhi hamdam Hai kis ko gharaz door kare dard hamara
Go bad hun gunahgar hun badkaar bura hun Jaisa bhi hun Sarkar tumhara hun tumhara
Hum kyun karein hukkaam ki umra ki khushamad Jab aap ke tukdon pe hamara hai guzara
Shaitan ne behka ke gunahon mein phansaya Aur nafs-e-bad-atwaar ne isiyan pe ubhara
Isiyan ke samundar mein phansi nao hamari Tum aake sambhaalo hai bahut door kinara
Afsos! gunahon se hai pur nama-e-aamaal Rakhiye ga meri laaj qayamat mein khudara
Attaar ka bas aap ke hathon mein bharam hai Keh dijiye Attaar hamara hai hamara





