Ata kar do Madine ki ijazat Ya RasoolAllah ﷺ Karoon main sabz gumbad ki ziyarat Ya RasoolAllah ﷺ
Kuch aisa ho karam mah-e-risalat Ya RasoolAllah ﷺ Karoon Allah ki dil se ibadat Ya RasoolAllah ﷺ
Sahaba ka gada hoon aur Ahle Bait ka khadim Yeh sab hai aap hi ki to inayat Ya RasoolAllah ﷺ
Tumhara fazl hai jo main ghulam-e-Ghaus-o-Khwaja hoon Na ho kam Auliya ki dil se ulfat Ya RasoolAllah ﷺ
Usi Ahmad Raza ka wasta jo mere murshid hain Ata kar do mujhe apni mohabbat Ya RasoolAllah ﷺ
Madinah meetha meetha hai Madinah pyara pyara hai Madine se mujhe behad hai ulfat Ya RasoolAllah ﷺ
Main hoon Sunni rahoon Sunni maroon Sunni Madine mein Baqi-e-Pak mein ban jaye turbat Ya RasoolAllah ﷺ
Namazon mein mujhe hargiz na ho susti kabhi Aaqa Parhoon paanchon namazein ba-jamaat Ya RasoolAllah ﷺ
Baray bhai behan ka main kaha mana karoon hardam Karoon maa baap ki din raat khidmat Ya RasoolAllah ﷺ
Baray jitnay bhi hain ghar mein adab karta rahoon sab ka Karoon chotay behan bhai pe shafqat Ya RasoolAllah ﷺ
Main sab se "Aap" keh kar pyaar se baatein karoon Aaqa Jhirakne ki ho meri door aadat Ya RasoolAllah ﷺ
Adab ustad-e-deeni ka mujhe Aaqa ata kar do Dil-o-jaan se karoon un ki ita'at Ya RasoolAllah ﷺ
Karam kar do ke mera hafiza mazboot ho jaye Na ho ustad ko mujh se shikayat Ya RasoolAllah ﷺ
Main ganay bajon aur filmon dramon ke gunah chhoroon Parhoon naatein karoon aksar tilawat Ya RasoolAllah ﷺ
Hasad, wada khilafi, jhoot, chughli, gheebat-o-tohmat Mujhe in sab gunahon se ho nafrat Ya RasoolAllah ﷺ
Mere akhlaq achay hon mere sab kaam achay hon Bana do mujh ko tum paband-e-Sunnat Ya RasoolAllah ﷺ
Zaroorat se zyada maal-o-daulat ka nahin talib Rahey bas aap ki nazar-e-inayat Ya RasoolAllah ﷺ
Rahein sab shad gharwalay shaha thori si rozi par Ata ho daulat-e-sabr-o-qana'at Ya RasoolAllah ﷺ
Sab ahle hashar mehshar mein unhi ko dhoondtay hongay Pukarein ge sabhi roz-e-qayamat Ya RasoolAllah ﷺ
Bahut kamzor hoon qabil nahin hargiz azabon ke Khudara saath lete jaana Jannat Ya RasoolAllah ﷺ
Mujhe tum Ya RasoolAllah de do jazba-e-tableegh Shaha! deta phiroon neki ki dawat Ya RasoolAllah ﷺ
Shaha! Attar par har aan rehmat ki nazar rakhna Karay din raat yeh Sunnat ki khidmat Ya RasoolAllah ﷺ





