Andheri raat hai gham ki ghata isyaan ki kaali hai Dil-e-bekas ka is aafat mein Aaqa tu hi waali hai
Na ho mayoos aati hai sada gor-e-ghareeban se Nabi ummat ka haami hai Khuda bandon ka waali hai
Utarte chand dhalti chandni jo ho sake kar le Andhera paakh aata hai yeh do din ki ujaali hai
Arey yeh bhediyon ka ban hai aur shaam aa gayi sar par Kahan soya musafir haye kitna la-ubaali hai
Andhera ghar, akeli jaan, dam ghut-ta, dil uktaata Khuda ko yaad kar pyaare woh sa’at aane wali hai
Zameen tapti, kateeli raah, bhaari bojh, ghayal paaon Museebat jhelne waale tira Allah waali hai
Na chaunka din hai dhalne par teri manzil hui khoti Arey o jaane waale neend yeh kab ki nikali hai
Raza manzil to jaisi hai woh ik mein kya sabhi ko hai Tum is ko rote ho yeh to kaho yaan haath khaali hai





