Aaminah Attariyyah Hajj ko chale umeed hai Gumbad-e-Khizra ki deed is ki bila shak Eid hai
Marhaba tum ko mubarak ho Madine ka safar Fazl-e-Rabb se tum pe nazil rehmatein hon har dagar
Ya Khuda! Aasaan ho is ke liye Hajj ka safar Zauq barhta hi rahe is ka Khudaye Bahro-bar
Rone wali aankh de aur chaak seena kar ata Ya Rabb! is ko ulfat-e-Shah-e-Madinah kar ata
Zarre zarre ka adab Allah is ko ho naseeb Az tufail-e-Sayyidi Ahmad-e-Raza Rabb-e-Mujeeb!
Imtihaan darpesh ho rah-e-Madinah mein agar Sabr kar tu sabr kar haan sabr kar bas sabr kar
Koi dhutkare ya jhaare balkeh maare sabr kar Mat jhagad, mat burbura, pa ajr Rabb se sabr kar
Rah-e-jaanan ka har ek kaanta bhi goya phool hai Jo koi shikwa kare us ki yaqeenan bhool hai
Tum zabaan ka aankh ka "Qufle-Madinah" lo laga Warna barh sakta hai isyaan ka wahan bhi silsila
Guftagu sadir na kuch be-kaar ho ehraam mein Lab pe bas labbaik ki takraar ho ehraam mein
Jab kare tu Khanah-e-Kaaba ka ro ro kar tawaf Yeh dua karna Khuda mere gunah karde maaf
Tera hajjan! jis ghari ho dakhila Arafat mein Karna nadim hoke tu aah-o-buka Arafat mein
Halat-e-ehraam mein yaad-e-kafan ho qabr ho Yaad kar Arafat mein tu Hashr ke maidan ko
Nau ko jab Arafat mein haaji ikatthe hon sabhi Bhool mat jaana duaon mein mujhe tu us ghari
Jis ghari karne lage qurban Mina mein jaanwar Tu tasawwur hi mein apne nafs ko bhi zabh kar
Haziri ho jab Madine mein tumhari hajjano! Ishq-e-Shah mein khoob karna aah-o-zaari hajjano!
Le ke hajjan! bargah-e-Mustafa mein mera naam Dast-e-basta arz karna un se ro ro kar salam
Ro ke karna mere imaan ki hifazat ki dua De shahadat ka sharaf mujh ko Madine mein Khuda
Is ka Hajj ya Rabb! Nabi ka wasta kar le qabool Do jahan mein is pe barsa ya Khuda rehmat ke phool
Apne munh se khud ko hajjan tu kabhi kehna nahin Be-zarurat apni neki ka bayaan achha nahin
Har baras Hajj ka sharaf pao Madine jao tum Aur Baqi-e-Pak mein aakhir mein madfan pao tum
Karna tum Attar ke haq mein dua-e-maghfirat Is jahan mein aafiyat ho us jahan mein aafiyat





