Anbiya ko bhi ajal aani hai Magar aisi ke faqat aani hai
Phir usi aan ke baad un ki hayaat Misl-e-sabiq wahi jismani hai
Rooh toh sab ki hai zinda un ka Jism-e-purnoor bhi roohani hai
Aurton ki rooh ho kitni hi lateef Un ke ajnaam ki kab saani hai
Paaon jis khaak pe rakh dein woh bhi Rooh hai paak hai noorani hai
Us ki azwaaj ko jaaiz hai nikaah Us ka tarkah bate jo faani hai
Yeh hain hayy-e-abadi un ko Raza Sidq-e-waada ki qaza maani hai





