Allah ki rahmat se phir azm-e-Madinah hai Phir azm-e-Madinah hai tayyar safinah hai
Chand ashk, nadamat ke hai zaad-e-safar mera Palle mein ibadat ka koi na khazinah hai
Go rah-e-Madinah par main chal to para hoon par Afsos saleeqa hai koi na qareenah hai
Sadqay mein Muhammad ﷺ ke de bakhsh usay ya Rab Mujrim hai jo aasi hai badkar o kameenah hai
Ae noor-e-Khuda aakar chamkado paye murshid Sarkar mere dil ka be-noor nageenah hai
Jismani mareezon ko Allah shifa de de Achha hai faqat woh jo bimar-e-Madinah hai
Tum jaante ho kya hai yeh Dawat-e-Islami Faizan-e-Madinah hai faizan-e-Madinah hai
Sarkar ki sunnat ki tableegh kiye jao Jaam aap ke hathon se gar hashr mein peena hai
Har dam mere honton par bas zikr-e-Madinah ho Yeh meri tamanna ae Sultan-e-Madinah hai
Ushshaq tarapte hain yaad-e-Shah-e-Batha mein Aata yeh jahan mein jab bhi Hajj ka mahina hai
Mehboob ka mastanah Sarkar ka deewanah Dil us ka Madinah hai seenah bhi Madinah hai
Gham meethe Madine ka ae kaash! ke mil jaye Arman yahi dil mein ae Shah-e-Madinah hai
Tu kar de ata mujh ko roti hui aankhen aur Gham mein tere Aqa jo jalta hua seenah hai
Afsos maraz barhta jata hai gunahon ka De deeje shifa arz ae Sarkar-e-Madinah hai
Duniya ka gulistan kya Jannat ki mehak se bhi Khushbu mein kahin barh kar Aqa ka paseena hai
Rota hua pohancha tha rota hua lota tha Hain wasl ki do ghariyan phir hijr-e-Madinah hai
Daulat ki farawani hai mangna nadani Bas asl mein daulat to ulfat ka khazinah hai
Ushshaq ki nazron mein veeran gulistan hain Dil un ka to shaidaye sahra-e-Madinah hai
Attar ko gar tu bhi thukra de kahan jaye Tera hai yeh tera hai go laakh kameenah hai





