Allah ata ho mujhe deedar-e-Madinah Ho jaaun main phir haazir-e-darbaar-e-Madinah
Aankhein meri mehroom hain muddat se Ilahi Arsa hua dekha nahin gulzar-e-Madinah
Phir dekh loon sahra-e-Madinah ki bahaarein Phir pesh-e-nazar kaash! hon kuhsaar-e-Madinah
Phir Gumbad-e-Khazra ke nazaare hon muyassar Allah dikha de mujhe anwaar-e-Madinah
Khaak aankhon mein mehboob ke koochay ki saja kar Dene ko salami chaloon darbaar-e-Madinah
Kya kaif-o-suroor aata tha afsos woh mere Thay khwab woh goya sabhi asfaar-e-Madinah
Ta’zeem ko uth jaate sabhi qaafilay waalay Joon hi nazar aatay unhein aasaar-e-Madinah
Parh parh ke sunaya hai inheinn kalma-e-tayyib Imaan pe hain shaahid mere ashjaar-e-Madinah
Shaadabi-e-Jannat ka main munkir nahin lekin Hai husn mein be-misl chaman-zaar-e-Madinah
Afsos! mere nafs ko phoolon ki talab hai Aa dil mein sama ja mere ae khaar-e-Madinah
Kasrat se durood un pe parho Rabb ne jo chaha Seenay mein utar aayenge anwaar-e-Madinah
Sarkar bulaatay hain Madine mein karam se Us ko ke jo ho dil se talabgaar-e-Madinah
Rihlat ki ghari hai mere Allah dikha de Sirf ek jhalak jalwa-e-Sarkar-e-Madinah
Allah mujhe baksh, na ho hashr mein pursish Kar lutf-o-karam az pay-e-Sarkar-e-Madinah
Ya Rabb dil-e-Attar pe chhayi hai udasi Kar shaad dikha kar usay gulzar-e-Madinah





