Ek jazbay ke naam ek maqsad ke naam Zindagi hum ne kardi Muhammad ﷺ ke naam
Zarray zarray ke tan par hara rang hai Saari haryaliyan sabz gumbad ke naam
Un se aabad konain ke silsilay Farsh bhi arsh bhi un ke masnad ke naam
Kaali kamli se mansoob raatain meri Meri subhain bhi subhon ke murshid ke naam
Ulama bhi payambar sifat aap ke Saari sardariyan mere Syed ke naam
Unki aahat, takhallus hai tehzeeb ka Puri insaniyat un ki aamad ke naam
Apne hotay huay mere Allah ne Kardiya apna sab kuch Muhammad ﷺ ke naam
Ilm jitnay bhi hain un ke shagird hain Aql jitni bhi hai un ki abjad ke naam
Yeh Muzaffar duroodon bhara dil mera Ba-Yazeed-o-Ghazali-o-Sarmad ke naam





