Ahmad ﷺ hain Muhammad ﷺ hain Yaseen hain Taha hain Mad’u-e-zamanah hain da'i-e-ilallah hain
Awsaf-e-mureed un ke, nazdeek-o-ba'eed un ke Gehrai hain rif'at hain wus'at hain ihata hain
Jo un se ho wabasta woh gul se ho guldasta Maktab hain mu'allim hain hikmat hain saheefa hain
Hairan hoon sun sun ke, hain kitne hi rukh un ke Suraj hain sitara hain darya hain kinara hain
Safhat-e-do alam bhi un ke liye na-kafi Tafseer hain imaan ki Quran ka khulasa hain
Nabiyon ki imamat ki, sadiyon ki nizamat ki Woh Sahib-e-Isra hain woh hatif-e-Sidrah hain
Aqa ﷺ ka safar-namah, dil-namah, nazar-namah Tarikh-e-mohabbat hain akhlaq ka shajra hain
Har ahd ki sachai, ja kar unhein le aayi Ehsan ka adalat ka azmat ka asasa hain
Paighambar-e-Rahmat ka, wada hai shafa'at ka Mahshar mein Muzaffar ki bakhshish ka waseela hain





