Aah! Ramzan ab ja raha hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Tukray tukray mera dil hua hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Dekh kar chand main ro para tha Saamne hijr ka gham khara tha
Jald rukhsat ka waqt aa gaya hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Ashk aankhon se ab beh rahe hain Hijr ka gham jo hum seh rahe hain
Woh dil-e-ghamzada jaanta hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Gham-e-judai ka kaise sahoon ga Kis se gham ka fasana kahoon ga
Aankh pur-nam hai dil ro raha hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Jaan fida tujh pe Nana-e-Hasnain Qalb hai ghamzada aur be-chain
Dil pe sadma barha ja raha hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Kar ke taqseem bakhshish ki asnaad Aah! ranjeeda dil kar ke tu shaad
Sab ko rota hua chhor ta hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai
Tu yeh karna Khuda se sifarish Is gunahgar ki kar de bakhshish
Tujh se Attar ki iltija hai Haaye tarpa ke Ramzan chala hai





