Aah ab waqt-e-rukhsat hai aaya Alwida aah Shah-e-Madinah
Sadma-e-hijr kaise sahoon ga Alwida aah Shah-e-Madinah
Be-qarari barhi ja rahi hai Hijr ki ab ghari aa rahi hai
Dil hua jaata hai paara paara Alwida aah Shah-e-Madinah
Kis tarah shauq se main chala tha Dil ka ghuncha khushi se khila tha
Aah ab chhoot-ta hai Madinah Alwida aah Shah-e-Madinah
Ku-e-jaanaan ki rangeen fazaao Ae mu'attar mu'anbar hawaao
Lo salaam aakhiri ab hamara Alwida aah Shah-e-Madinah
Kaash! qismat mira saath deti Maut bhi yawari meri karti
Jaan qadmon pe qurban karta Alwida aah Shah-e-Madinah
Soz-e-ulfat se jalta rahoon main Ishq mein tere ghulta rahoon main
Chaahe deewana samjhe zamaana Alwida aah Shah-e-Madinah
Main jahaan bhi rahoon mere Aaqa Ho nazar mein Madine ka jalwa
Iltija meri maqbool farma Alwida aah Shah-e-Madinah
Kuch na husn-e-amal kar saka hoon Nazr chand ashk mein kar raha hoon
Bas yehi hai mira kul asasa Alwida aah Shah-e-Madinah
Aankh se ab hua khoon jaari Rooh par bhi hua ranj taari
Jald Attar ko phir bulaana Alwida aah Shah-e-Madinah





