Agarcheh zikr-e-Khuda subh-o-shaam karta hoon Magar hayaat, Muhammad ﷺ ke naam karta hoon
Durood bhejta hoon main hazaar baar un par Jo ek baar sujood qiyaam karta hoon
Woh arsh-e-Mustafavi se jhalak dikhate hain Main Toor-e-zaat pe un se kalaam karta hoon
Wahin se mujh pe karam un ka hone lagta hai Talab ka apni jahan ikhtitaam karta hoon
Zaban-e-qalb pe jaari durood rehta hai Koi bhi kaam karoon yeh bhi kaam karta hoon
Mahaaz-e-nafs pe sunnat ki sarbarahi mein Qasam Khuda ki, bada qatl-e-aam karta hoon
Khuda ke baad bada hai koi toh bas woh hain Main un ka sab se siwa ehtram karta hoon
Barah-e-raast Muzaffar huzoor sunte hain Main halq se nahin dil se salaam karta hoon





