Afsos waqt-e-rukhsat nazdeek aa raha hai Ik hook uth rahi hai dil baitha ja raha hai
Dil mein khushi thi kaisi jab main chala tha ghar se Dil gham ke gehre darya mein dooba ja raha hai
Hai furqat-e-Madinah se chaak chaak seena Abre-siyah gham ka ab dil pe chha raha hai
Aankh ashkbaar hai ab dil be-qaraar hai ab Dil ko judai ka gham ab khoon rula raha hai
Kyun sabz sabz gumbad par ho gaya na qurbaan Ae zaire-Madinah! tu bhool kha raha hai
Afsos! chand ghariyan Taiba ki reh gayi hain Dil mein judai ka gham toofan macha raha hai
Kuch bhi na kar saka hoon haye adab yahan ka Yeh gham mere kaleje ko kaat kha raha hai
Ab rooh bhi hai maghmoom aur jaan bhi hai hairan Baadal gham-o-alam ka har samt chha raha hai
Maut aap ki gali ki behtar hai zindagi se Haye muqaddar in ka dar kyun chura raha hai
Afsos chal diya hai ab qafila hamara Har ek gham ka maara aansu baha raha hai
Dil khoon ro raha hai aansu chalak rahe hain Meri nazar se Taiba ab chupta ja raha hai
Aah! al-firaq Aaqa! aah! al-wida Maula Ab chhor kar Madinah Attar ja raha hai





