Aisi roshni dekhi, aisa raasta paaya Umr ke khazano se jo na pa saka paaya
Hum ne un ke dariya par yeh nazara dekha hai Paar bhi wahi utra jis ko doobta paaya
Jab talash mein un ki koo-e-zaat se nikle Kainaat ko hum ne raah mein para paaya
Rif'aton ke mele mein le gayi nazar mujh ko Un ke paaon par rakh kar sar na main utha paaya
Mere aansuon ki bhi aap ne sada sun li Haath bhi na phailaye aur mudda'a paaya
Jis Khuda ne bakhsha hai Mustafa sa paighambar Mustafa ke sadqe mein hum ne woh Khuda paaya
Munfarid hai zaat un ki, mo'jiza hayaat un ki Chaand toot-te dekha, sang bolta paaya
Sab Huzoor-e-Aali ka hai karam Muzaffar par Habs mein chale jhonke, dhoop ko ghata paaya





