We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Aisa koi mehram nahin pahunchaye jo paigham-e-gham Tu hi karam karde tujhe Shah-e-Madinah ki qasam


Ho jab kabhi tera guzar baad-e-saba su-e-haram Pahuncha meri tasleem us ja hain jahan Khair-ul-Umam


In nilti ya reeh-as-saba yawman ila arzil haram Balligh salami rawdatan feeha-n-Nabiyyul muhtasham


Main doon tujhe un ka pata gar na tu pehchane saba Haq ne unhi ke waste paida kiye arz-o-sama


Rukhsar sooraj ki tarah hai chehra un ka chand sa Hai zaat-e-alam ki panah aur haath darya jud ka


Man wajhuhu shamsud-duha man khadduhu badrud-duja Man dhathu noorul huda man kaffuhu bahrul himam


Haq ne unhein rahmat kaha aur shafe-e-isiyan kiya Rutba mein woh sab se siwa hain khatm un se anbiya


Woh mahbit-e-Quran hain nasikh hai jo adiyan ka Pahuncha jo yeh hukm-e-Khuda sare sahife the fana


Quranuhu burhanuna naskhan li-adyanin madat Idh ja-ana ahkamuhu likullis suhufi saral adam


Yun to Khalil-e-Kibriya aur Anbiya-e-ba-safa Makhlooq ke hain peshwa sab ko bada rutba mila


Lekin hain un sab se siwa durr-e-yateem-e-Aaminah Woh hi jinhein kehte hain sab mushkil kusha haajat rawa


Ya Mustafa ya Mujtaba irham ala isyanina Majbooratan aamaluna tam-an wa dhanban waz-zulam


Ae mah-e-khooban-e-jahan ae iftikhar-e-mursaleen Go jalwa gar aakhir hue lekin ho fakhr-ul-awwaleen


Furqat ke yeh ranj-o-ana ab ho gaye had se siwa Is hijr ki talwar ne qalb-o-jigar zakhmi kiya


Woh log khush-taqdeer hain aur bakht hai un ka rasa Rehte hain jo us shehar mein jis mein ke tum ho khusrawa


Sab awwalin-o-aakhireen tare hain tum mehar-e-mubeen Yeh jagmagaye raat bhar chamke jo tum koi nahin



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Akbaduna majrohatan min saif-e-hijril Mustafa Tooba li-ahli baldatin feehan Nabiyyul muhtasham


Ae do jahan par rahm-e-Haq tum ho shafee-ul-mujrimeen Hai aap hi ka aasra jab bolein nafsi mursaleen


Is bekasi ke waqt mein jab koi bhi apna nahin Hum bekason par ho nazar ae Rahmat-ul-lil-Aalameen


Ya Rahmatan lil-Aalameena anta shafee-ul-mudhnibeen Akrim lana yawmal hazeeni fadlan wa joodan wal karam


Is Salik-e-badkar ka go hashr mein koi nahin Lekin use kya khauf ho jab aap hain us ke mueen


Mujrim hoon main Ghaffar Rab aur tum shafee-ul-mudhnibeen Phir kyon kahoon bekas hoon ya Rahmat-ul-lil-Aalameen


Ya Rahmatan lil-Aalameena adrik li-Zainul Abideen Mahboosu aydiz-zalimeena fee markabin wal muzdahim

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah