Ab karam Ya Mustafa farmaiye Izn-e-Taibah ka ata farmaiye
Ya Habib-e-Kibriya hajj ka sharaf Ab ata ik martaba farmaiye
Haziri ki ab sa’adat paaun main Kuch karam aisa shaha farmaiye
Khwab mein aakar ke kuch shereen kalam Meethe meethe Mustafa farmaiye
Jin pe sadqe jaayein sab jannat ke phool Un labon ko ab to wa farmaiye
Ya RasoolAllah meri maghfirat Ho Khuda se yeh dua farmaiye
Istaqamat deen par hum ko ata Az-pay-e-Ghaus-o-Raza farmaiye
Kab talak tadpein aseeran-e-qafas Qaid-e-gham se ab riha farmaiye
Aap ki ulfat mein ho rona naseeb Mujh ko chashm-e-nam ata farmaiye
Door pyare Mustafa ranj-o-bala Az-tufail-e-Murtaza farmaiye
Aap ke qadmon mein ho jaaun shaheed Kuch sabab aisa shaha farmaiye
Mujh ko lillah ik jhalakta saqiya Jaam-e-Kauthar ka ata farmaiye
Apne aasi ki shafa’at hashr mein Shafi-e-roz-e-jaza farmaiye
Madani burqa pehnein sab behnein, karam Fatimah ka wasta farmaiye
Maah-e-milad aa gaya ghar ghar par ab Nasb parcham sab hara farmaiye
Eid-e-MiladunNabi phir aa gayi Shukr ka sajda ada farmaiye
Eid aayi eid, eidon ki bhi eid Uthiye saamaan-e-jashn ka farmaiye
Jhoom kar saare khushi se baar baar Marhaba Ya Mustafa farmaiye
Ya RasoolAllah kahiye zor se Shaq-e-jigar Iblees ka farmaiye
Gumbad-e-Khizra ke jalwe hon naseeb Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Deejiye dard-e-Madinah deejiye Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Mera seena ho Madinah Ya Nabi Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Deejiye soz-e-Raza soz-e-Ziya Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Ne’amat-e-akhlaq kar deeje ata Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Gheebat-o-chughli ki aafat se bachein Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Hum riyakari se bachte hi rahein Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Nafs-o-shaitan ki shararat door ho Yeh karam Ya Mustafa farmaiye
Dam labon par aa gaya Attar ka Ab qadam ranja shaha! farmaiye





