We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Aap Ke Baad Aur Kya ChaheinNot Verified

Muzaffar Warsi

Aap ﷺ ke baad aur kya chahein Sirf khushnudi-e-Khuda chahein


Aap ﷺ ki khushbuon mein rehna hai Aap ﷺ ke shehar ki hawa chahein


Dekh aaye hain Gumbad-e-Khizra Khoon bhi jism mein hara chahein


Aap ki aahaton ke shaidai Aap ﷺ ke saaye ki qaba chahein


Ittiba-e-Huzoor ﷺ lazim hai Har zamana agar naya chahein


Choomte rehte hain nishan-e-qadam Kam-nazar surma-e-shifa chahein



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Apna chehra bhi ab Muzaffar hum Un ke sheeshay mein dekhna chahein

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah