Aap ka naam-e-naami hi Naat aap ﷺ ki Meri naaton ka deewan zaat aap ﷺ ki
Rabb-e-Akbar ataleeq hai aap ﷺ ka Tarbiyat-gah-e-aalam hayat aap ﷺ ki
Waqt aur faasle aap ﷺ ke saath hain Aap ﷺ dulha hain dunya baraat aap ﷺ ki
Murda dil bhi maseehai karne lage Zindagi ka sawera hai raat aap ﷺ ki
Jab se main aap ﷺ ke raaston par chala Chaap, rehne lagi mere saath aap ﷺ ki
Meri aankhon mein dooba hua hai qalam Mera har ek aansoo dawaat aap ﷺ ki
Ya Muhammad ﷺ ka main ne wazeefa kiya Parh ke nikla hoon saari lughaat aap ﷺ ki
Aap ﷺ ko chaah kar motabar main hua Mere honton pe hai baat baat aap ﷺ ki
Khwan-e-rehmat se chunta hai apni ghiza Kha raha hai Muzaffar zakaat aap ﷺ ki





