Aaj Taibah ka hai safar Aaqa De do toshay mein chashm-e-tar Aaqa
Ghamzada hoon main kis qadar Aaqa Tum ko meri hai sab khabar Aaqa
Mujh ko bimariyon ne ghera hai Aap hain mere chara-gar Aaqa
Chand ashkon ke masiva pallay Kuch nahi tosha-e-safar Aaqa
Taj-e-shahi ka main, nahi talib Kar do rehmat ki ik nazar Aaqa
Teri ulfat ka main bhikari hoon Mera kashkol jaye bhar Aaqa
Qalb-e-muztar do chashm-e-tar do aur Chak-e-seena tapan jigar Aaqa
Chal Madinah ka woh bhi lein muzdah Jin ke pallay nahi hai zar Aaqa
Kya amamay ki ho bayan azmat Tere na'lain taj-e-sar Aaqa
Tere hotay huay bhala kyun ho Waar dushman ka kargar Aaqa
Is tarah se chupa lo daman mein Na adu ki paray nazar Aaqa
Mu'tarif hoon gunah karne mein Koi chhori nahi kasar Aaqa
Phans gaya hoon gunah ki daldal mein Ho karam Shah-e-Bahr-o-Bar Aaqa
Main gunahgar hoon magar qurbaan Teri rehmat ki hai nazar Aaqa
Wasta mere Ghous-e-Azam ka Har khata kar do dar-guzar Aaqa
Tum usay bhi galay lagatay ho Jis ko dhutkaray har bashar Aaqa
Main jahannam mein gir gaya hota Na bachatay mujhe agar Aaqa
Kaash! neechi nazar rahay, be-kar Main na dekhun idhar udhar Aaqa
Jaan chhootay fazool baton se Az paye Hazrat-e-Umar Aaqa
Maula Mushkil-kusha ke sadqay mein Istaqamat do deen par Aaqa
Az paye murshidi Zia-ud-Din Mere dil mein banao ghar Aaqa
Kaash! is shaan se yeh dam niklay Teri dehleez par ho sar Aaqa
Izn de do Baqi-e-Gharqad ka Tere jalwon mein jaaun mar, Aaqa
Kya banay ga bajaye Taibah ke Sindh mein mar gaya agar Aaqa
Maut Attar ko Madine mein Aaye ab toh na jaye ghar Aaqa





