Aaj ki raat ziyaon ki hai baarat ki raat Fazl-e-Nosha-e-do aalam ke bayanaat ki raat
Shab-e-Meraj woh Aw-ha ke ishaarat ki raat Kaun samjhaye woh kaisi thi munajaat ki raat
Chhayi rehti hain khayalon mein tumhari zulfen Koi mausam ho yahan rehti hai barsaat ki raat
Rind peete hain teri zulf ke saaye mein sada Koi mausam ho yahan rehti hai barsaat ki raat
Rukh-e-taaban-e-Nabi zulf-e-mu’ambar pe fida Roz-e-tabinda yeh masti bhari barsaat ki raat
Dil ka har daagh chamakta hai qamar ki surat Kitni roshan hai rukh-e-Shah ke khayalaat ki raat
Har shab-e-hijr lagi rehti hai ashkon ki jhadi Koi mausam ho yahan rehti hai barsaat ki raat
Jis ki tanhai mein woh shama-e-shabistani ho Rashk-e-sad bazm hai us rind-e-kharabat ki raat
Bulbul-e-bagh-e-Madinah ko suna de Akhtarؔ Aaj ki shab hai farishton se mubahat ki raat





