Aaj eidon ki eid ka din hai Intiha-e-naveed ka din hai Haih hain jis ke saamne kaunain Woh falak se zameen par utra Zindagi ki haseen aankhon mein Waqt ka nukta-e-nazar utra Uswa-e-Mustafa ﷺ ke sheeshe mein Haq Ta'ala ki deed ka din hai
Har tamanna ke lab pe khanda-e-noor Har nafs hai behisht ka jhonka Har ghari uski har sadi uski Raste raste hujoom aankhon ka Chaudah sau saal ki haveli mein Ek jashn-e-jadeed ka din hai
Roshni ka hawaon ka aadi Adl ka chahaton ka sheh para Dil ki rounaq, zameer ki aawaz Shaam ka chand, subah ka tara Khul gaye rehmaton ke darwaze Har talab har umeed ka din hai
Jaante hain maqam-e-hamd-o-sana Sahiban-e-shaoor aaye hain Aye Khuda bargah mein teri Ummati-e-Huzoor ﷺ aaye hain Ishq ka chahiye sila un ko Fard likh li, raseed ka din hai
Baith kar apne aasmanon par Aap ke ghar tak pahunchna hai Saari dunya misaal de jis ki Aise kirdar tak pahunchna hai Apne apne wajood se goya Apni apni kasheed ka din hai
Chashm-o-dil aaj aaine ki tarah Ishq ke dast-e-deeda-zeb mein hain Nisbat-e-Sarwar-e-Do Aalam ke Saare sikke hamari jaib mein hain Aaj imaan ki dukanon par Aakhirat ki khareed ka din hai





