Ziya peer-o-murshid mere rehnuma hain Suroor-e-dil-o-jaan mere dilruba hain
Kali hain gulistan-e-Ghaus-ul-Wara ki Yeh baagh-e-Raza ke gul-e-khushnuma hain
Shariat tariqat ho ya marifat ho Yeh haq hai haqiqat mein haq aashna hain
Sahara hain be-kas ka, dukhiyon ke wali Sakha ke hain makhzan toh kaan-e-ata hain
Khuda ki mohabbat se sarshar hain woh Dil-o-jaan se Mustafa ﷺ par fida hain
Mila sabz gumbad ka qismat se saya Dayar-e-Muhammad ﷺ mein jalwa-numa hain
Bulalo mujhe apne qadmon mein ab toh Yeh ayyam-e-furqat bade jaanguza hain
Mujhe roo-e-zeba zara phir dikha do Ziyarat ke lamhe bade jaanfiza hain
Tasawwur jamaaun toh maujood paaun Karoon band aankhein toh jalwa-numa hain
Na kyun ahl-e-sunnat karein naaz un par Ke woh naib-e-Ghaus-o-Ahmed Raza hain
Munawwar karein qalb-e-Attar ko bhi Shaha aap deen-e-mubeen ki ziya hain





