Zeenat-e-sajjadah-o-bazm-e-qaza milta nahin La'l-e-yakta-e-Shah-e-Ahmad Raza milta nahin
Woh jo apne daur ka Siddiq tha milta nahin Mehram-e-raaz-e-Muhammad Mustafa milta nahin
Ab charagh-e-dil jala kar ho sake to dhoondiye Partau-e-Ghaus-o-Raza-o-Mustafa milta nahin
Aalam-e-soz-e-daroon kis se kahoon kis se kahoon Charah-saaz-e-dard-e-dil dard-aashna milta nahin
Aalamon ka motabar woh peshwa milta nahin Jo mujassam ilm tha woh kya hua milta nahin
Zahidon ka woh musallam muqtada milta nahin Jis pe naazan zuhd tha woh parsa milta nahin
Fard-e-afraad-e-zaman woh Shaikh-e-ashyaakh-e-jahan Kaamilan-e-dahr ka woh muntaha milta nahin
Istaqamat ka woh koh-e-muhkam-o-bala-tareen Jis ke jaane se zamana hil gaya milta nahin
Chaar yaaron ki adayein jis mein thin jalwa-numa Chaar yaaron ka woh roshan aaina milta nahin
Ek shakh-e-gul nahin saara chaman andohgeen Mustafa ka andaleeb-e-khushnawa milta nahin
Mufti-e-Aazam ka zarra kya bana Akhtar-e-Raza Mehfil-e-Anjum mein Akhtar doosra milta nahin





