Ya Haji Waris Ali Piya Meri jannat teri gali Piya
Tera ishq hai dastarkhwan mera Tere tukdon par main pali Piya
Mere andar bhadke aag teri Mera shola teri kali Piya
Baandhi hai teri aahat se Tu saans thumak kar chali Piya
Teri khaak-e-qadam bhi aisi hai Jaise misri ki dali Piya
Jo sham-e-mohabbat haath mein thi Nas nas ke andar jali Piya
Tere khadim ke bhi khadim ka Mera ruwan ruwan ardali Piya
Tere zaanu par hai sar mera Meri qismat kitni bhali Piya
Meri aql bhi hai munh zor bahut Meri wehshat bhi manchali Piya
Thamte hi nahin aansu mere Main kitni phooli phali Piya
Tere naqsh-e-qadam par qadam rakhun Tere Ali Piya mere Ali Piya
Tere haath pe haath hain laakhon ke Tu waliyon ka hai wali Piya





