Tumhein jis ne bhi dekha keh utha Ahmad Raza tum ho Jamal-e-Hazrat-e-Ahmad Raza ka aaina tum ho
Nahin Hamid Raza hum mein magar wajah-e-shakeebai Khuda rakhey tumhein zindah mere Hamid-numa tum ho
Tumhare naam mein tum ko buzurgi ki sanad hasil Raza wajah-e-buzurgi hai Raza-e-Mustafa tum ho
Tumhare naam mein yun hain Raza-o-Mustafa do juz Raza waley yaqeena Mustafa ke Mustafa tum ho
Tumhari rif'aton ki ibtida bhi pa nahin sakta Ke uftadah zameen hoon main bulandi ka sama tum ho
Hayat-o-maut wabasta tumhare dam se hain donon Hamari zindagi ho aur dushman ki qaza tum ho
Yeh Noori chehra yeh Noori adayein sab yeh kehte hain Shabeeh-e-Ghaus ho Noori Miyan ho aur Raza tum ho
Raza joyan-e-Rabb thaamey huay hain is liye daaman Raza se kaam parta hai Raza-e-Kibriya tum ho
Janab-e-Mufti-e-Aazam ke faizan-e-tajalli se Shabistan-e-Raza mein khair se Akhtar Raza tum ho





