Tere dar pe aaun Imam-e-Ghazali Tera faiz paaun Imam-e-Ghazali
Imam-e-Ghazali! tere dar pe aakar Muqaddar jagaaun Imam-e-Ghazali
Liye khaali jholi main dar par khara hoon Na mayoos jaaun Imam-e-Ghazali
Tere dar se taqwa ki ae kaash! aaqa Main khairaat paaun Imam-e-Ghazali
Imam-e-tasawwuf! sab amraz-e-dil se Khalasi main paaun Imam-e-Ghazali
Meri rooh-e-bimaar ka kije chaara Ke sehat main paaun Imam-e-Ghazali
Teri deeni khidmat Allah Akbar Main qurban jaaun Imam-e-Ghazali
Karam aisa kardo Khuda ki ibadat Ki lazzat main paaun Imam-e-Ghazali
Karam aisa kardo ke sajdon ka main bhi Shaha! lutf uthaaun Imam-e-Ghazali
Tu aisa guma ishq-e-Haq mein na hargiz Pata apna paaun Imam-e-Ghazali
Karam! waqt-e-rihlat hai kalmay se mehroom Kahin mar na jaaun Imam-e-Ghazali
Shaha! qalb-e-Attar ki yeh sada hai Main rozay pe aaun Imam-e-Ghazali





