Teen rozah ijtima-e-Pak ke Multan mein Har taraf se aa rahe hain qafilay Multan mein
Aaj "Sahra-e-Madinah" mein hai kya aayi bahaar Chaar soo hain rehmaton ke gul khilay Multan mein
Bain-ul-aqwami hamara ijtima-e-Pak hai Hain kayi mulkon se aaye qafilay Multan mein
Ijtima-e-Pak Ya Rab! ibtida ta inteha Khair se ho khair se ho khair se Multan mein
Mailey mansoobay adu ke khaak mein mil jaayein sab De tahaffuz Ya Khuda asraar se Multan mein
Ya RasoolAllah ke naaron ki har soo dhoom hai Chaar soo rehmat ke baadal chha gaye Multan mein
Dargah-o-darbar ho ya koocha-o-bazaar ho Jis taraf dekho imamay hain haray Multan mein
Ghar mein choohay bhi to ghustay hain thagon se hoshiyaar! Apni cheezon ki hifazat bhi rahay Multan mein
Nikhra nikhra hai samaan har samt hai chhayi bahaar Yaan khizaan ka kaam kya kaisay rahay Multan mein
Auliya ka hai Madinah rehmatein hain har qadam Koi bhi mehroom phir kyun kar rahay Multan mein
InshaAllah main bhi jaaun ga meray ahbaab bhi Tum nahin chaltay ho kyun bhai aray Multan mein
Har taraf kehtay phiro ek ek ko dawat yeh do Ijtima-e-Pak mein aap aayiay Multan mein
Niyyatein kar lo, karein ge infiradi koshishein Aur milein ge barh ke khud har ek se Multan mein
Sab karo niyyat, karein ge qafilon mein hum safar Ab bohat saaray banein ge qafilay Multan mein
"Majlis-e-Shura" ka jo bhi hai wafadaar ae Khuda Abr-e-rehmat us pe barsa zor se Multan mein
Ya Khuda woh hajj karay meetha Madinah dekh lay Ghour se har ik bayaan jo bhi sunay Multan mein
Chor daaku aa gaye aa kar hidayat paa gaye Be-namazi aa kar namazi ban gaye Multan mein
Sunnaton se sab ke chehray jagmagayein ge yahan InshaAllah Mustafa ke faiz se Multan mein
Sunnaton ki tarbiyat ke khoob madani qafilay Chaar soo hon ge rawana khair se Multan mein
Madani inaamaat ki dhoomein machatay jaayein ge Sunnaton ki tarbiyat ke qafilay Multan mein
Fazl-e-Rabb se ahl-e-haq ka baad-e-hajj sab se bara Ijtima-e-Pak hai yeh khair se Multan mein
Bakhsh de Ya Rab! sabhi ko aur un ko bilkhusoos Aaye hain karne safar jo door se Multan mein
Kaash! ishq-e-Mustafa mein Ya Khuda tarpa karoon Aankh tere khauf se roti rahay Multan mein
Rukn-e-Alam aur Bahauddin ke sadqay Khuda Ho qabool us ki dua jo bhi karay Multan mein
InshaAllah har dua Attar ab maqbool hai Hain Khuda ki rehmaton ke dar khulay Multan mein





