Tareekh hai nigah-e-nazara Hussain hai Har subah-e-inqalab ka tara Hussain hai
Us ke huzoor jata hai shah-rag se raasta Behte hue lahu ka kinara Hussain hai
Manzil Khuda ki zaat ho ya zaat-e-Mustafa ﷺ Us chowk ka har ek ishara Hussain hai
Khoon-e-Hussain goonjta hai har azaan mein Har khana-e-Khuda ka manara Hussain hai
Dikhla raha hai, rah-numa saazon ko raasta Chara-garon ki fikr ka chara Hussain hai
Taj-e-malookiyat pe hain sabt us ki thokarain Jamhooriyat ka pehla idara Hussain hai
Sadiyon se parh rahi hain Muzaffar mohabbatain Islam hai mudir shumaara Hussain hai





