Shukriya aap ka Baghdad bulaya Ya Ghous Mujh gunahgar ko mehman banaya Ya Ghous
Martaba yun tera Khaliq ne barhaya Ya Ghous Awliya ka tujhe sultan banaya Ya Ghous
Yaad-e-Taiba se basa dijiye seena mera Arz yeh shehr-e-’’Karachi‘‘ se hoon laya Ya Ghous
Main nikamma to kisi kaam ke qabil hi na tha Mujh se be-kaar ko tum ne hi nibhaya Ya Ghous
Qabil-e-rashk hai wallah woh qismat wala Tu ne kutta jise apna hai banaya Ya Ghous
Qalb-e-murda ko bhi thokar se jila do murshid Bil-yaqeen tum ne to murdon ko jilaya Ya Ghous
Aafton mein hoon giraftar, madad ko aao Aah! duniya ke ghamon ne hai sataya Ya Ghous
La takhaf hashr mein kehte hue aajana tum Jaise duniya mein yeh irshad sunaya Ya Ghous
Tere daman se lipat kar main machal jaunga Mujh ko jis dam sar-e-mahshar nazar aaya Ya Ghous
Main jahannam mein na ab jaunga InshaAllah Rahnuma tum ko jo main ne hai banaya Ya Ghous
Shah-e-Baghdad! ho Attar pe nazar-e-rehmat! Khali kasa liye hai door se aaya Ya Ghous





