Shahanshah-e-Baghdad Ya Ghous-e-Azam Sunno meri faryad Ya Ghous-e-Azam
Bula lijiye Baghdad Ya Ghous-e-Azam Sunani hai roodad Ya Ghous-e-Azam
Laga kar mujhe apne qadmon se Murshid Mera dil karo shad Ya Ghous-e-Azam
Tere pak jalwon se Ya Peer-o-Murshid Mera dil ho abad Ya Ghous-e-Azam
Pila jaam aisa siwa tere Aaqa Na kuch bhi rahe yaad Ya Ghous-e-Azam
Mere qalb se hubb-e-dunya ki Murshid Ukhar jaaye bunyad Ya Ghous-e-Azam
Rahe mujh pe meethi nazar Murshidi gar Pare kuch na uftad Ya Ghous-e-Azam
Tere hote Ya Peer! ranj-o-alam ki karoon Kis se faryad Ya Ghous-e-Azam
Tere dar ke mangte sab aghwas-o-aqtab Aur abdal-o-awtad Ya Ghous-e-Azam
Mukarram shaha tere saare ke saare Hain aba-o-ajdad Ya Ghous-e-Azam
Shaha kaash! dar ka bana leti kutta Mujhe teri aulad Ya Ghous-e-Azam
Rahein shad-o-abad aalam mein mere Sabhi ghar ke afrad Ya Ghous-e-Azam
Mujhe pyare gyarah bhi barah bhi pachis Ke lagte hain adad Ya Ghous-e-Azam
Adu qatl karne ke dar pe huwa hai Madad Shah-e-Baghdad Ya Ghous-e-Azam
Adu to mukhalif the pehle hi se ab Barha zor-e-hussad Ya Ghous-e-Azam
Gunahon ne mujh ko kahin ka na chora Na ho jaaun barbad Ya Ghous-e-Azam
Mujhe nafs-e-zalim pe kar dijiye ghalib Ho nakam hamzad Ya Ghous-e-Azam
Dam-e-naz’a deedar ki bheek dena Chale jaan meri shad Ya Ghous-e-Azam
Giraftar-e-ranj-o-bala yeh gada hai Karo aakar azad Ya Ghous-e-Azam
Yeh Attar mera hai Murshid khudara Suna do yeh irshad Ya Ghous-e-Azam





