Shah-e-Bat-ha ka mah-e-parah hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki Sayyidah Fatimah ka pyara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Yeh toh sab Awliya ka afsar hai, Ibn-e-Zahra hai Ibn-e-Haidar hai Aur Hasnain ka dulara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Ghous-e-Azam hain Shah-e-Jeelani, Peer-e-Lasani, Qutb-e-Rabbani Un ke ushshaq ne pukara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Shahr-e-Baghdad mujh ko hai pyara, khoob dilkash wahan ka nazara Mera murshid jo jalwa ara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Mil gaya mujh ko Ghous ka daman, fazl-e-Rabb-e-Kareem se roshan Meri taqdeer ka sitara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Jab ke duniya mein murshidi aaye, batn-e-madar se hi wali aaye Jaan-o-dil un pe sab nisara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Mere murshid ne "la takhaf" keh kar, door sab kar diya hai khauf aur dar Un ka mahshar mein bhi sahara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Ghous ranj-o-alam mitate hain, us ko seene se bhi lagate hain Aa gaya jo bhi gham ka mara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Ghous peeron ke peer hain beshak, aur roshan zameer hain beshak Haal-e-dil un pe ashkara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Kyun na jaaun main Ghous par wari, aafatein door ho gayin sari Jab tadap kar unhein pukara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Us ko man ki murad milti hai, us ki bigdi zaroor banti hai Jis ne daman yahan pasara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Jee uthe murde Haq ki qudrat se, hukm-e-wala-e-Rabb-e-Rehmat se Rabb ko jab Ghous ne pukara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Dard-o-aalam jab rulate hain, Ghous-e-Azam madad ko aate hain Har jagah Ghous ka sahara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Un ka dushman Khuda ka hai maqhoor, us ki rehmat se ho gaya woh door Bughz mein jis ne sar ubhara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Ghous par toh qadam Nabi ka hai, un ke zer-e-qadam wali saare Har wali ne yehi pukara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Hum ko "gyarah" ka hai adad pyara, un ki tareekh-e-urs hai gyarah Yun adad hum ko pyara gyarah hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki
Khoob surat hain gumbad aur minar, un pe rehmat barasti hai Attarؔ Khoob darbar ka nazara hai, wah kya baat Ghous-e-Azam ki





