Nawasah-e-Mustafa, Ya Shaheed-e-Karbala Noor-e-Ain-e-Fatima, Ya Shaheed-e-Karbala
Tum ho Aal-e-Mustafa, Ya Shaheed-e-Karbala Aur Ibn-e-Murtaza, Ya Shaheed-e-Karbala
Muttaqi-o-Parsa, Ya Shaheed-e-Karbala Ae Shaheed-e-Ba-wafa, Ya Shaheed-e-Karbala
Jab bhi tera sar jhuka, Ya Shaheed-e-Karbala Haq ke roo-ba-roo jhuka, Ya Shaheed-e-Karbala
Aashiqon ka ho bhala, Ya Shaheed-e-Karbala Dushmanon ka khatma, Ya Shaheed-e-Karbala
Mustafa ka wasta, Ya Shaheed-e-Karbala Apna ishq do shaha, Ya Shaheed-e-Karbala
Gar sarapa hoon khata, Ya Shaheed-e-Karbala Aap ka hoon aap ka, Ya Shaheed-e-Karbala
Aap kijiye dua, Ya Shaheed-e-Karbala Bakhsh de mujhe Khuda, Ya Shaheed-e-Karbala
Karbala mein lo bula, Ya Shaheed-e-Karbala Rauza dekhein aap ka, Ya Shaheed-e-Karbala
Dar pe aa gaye gada, Ya Shaheed-e-Karbala Dijiye mudda'a, Ya Shaheed-e-Karbala
Door ho har bala, Ya Shaheed-e-Karbala Az tufail-e-Fatima, Ya Shaheed-e-Karbala





