Mufti-e-Aazam-e-Deen Khair-ul-Wara Jalwa-e-shan-e-irfan-e-Ahmed Raza
Deed-e-Ahmed Raza hai tumhein dekhna Zaat-e-Ahmed Raza ka ho tum aaina
Kya kahoon haq ke ho kaise tum muqtada Muqtadayane-haq karte hain iqtida
Un ki midhat ko main kis se maangoon zaban Kya maqam-e-Surayya bataye Sara
Ahmed-e-Noori ke hain ye mazhar tamam Ye hain Noori Miyan Noori har har ada
Noor ki may pilate ye hain roz-o-shab Jis ko peena ho aaye hai maikhana va
Hain bohat ilm wale bhi aur peer bhi Aankhon dekha na in sa na kaanon suna
Un ka saya saron par salamat rahe Munh sadate rahe yunhi dushman sada
Un ke hasid pe wo dekho bijli giri Wo jala dekh kar wo jala wo jala
Wo jalenge hamesha jo tujh se jalein Marke bhi dil jalon ko na chain aayega
Aashiqon ke jigar un se thande rahein Dushmanon par rahein ban ke shakal-e-qaza
Zada'ul anaasi ajma'ihim Istajib Rabbana ya Mujeeb-ud-Dua
Aur honge jinhein tujh se lalach ho kuch Tere Akhtar ko kaafi hai teri raza





