Mahshar mein maghfirat ki khabar Ghaus-e-Pak hain Sab kuch mera hai mere agar Ghaus-e-Pak hain
Khair-ul-Wara ki aal hain Maula Ali ؓ ke laal Khair-un-Nisa ؓ ke noor-e-nazar Ghaus-e-Pak hain
Gardan pe har wali ke qadam Ghaus-e-Pak ka Tare hain sab wali to qamar Ghaus-e-Pak hain
Mayoosion mein dil ujala unka naam hai Shab-haye-gham mein noor-e-sahar Ghaus-e-Pak hain
Baghdad muhtaram diyar-e-Nabi ke baad Ya'ni Rasool idhar to udhar Ghaus-e-Pak hain
Ilhad-o-zandaqa ko fana karke rakh diya Deen-e-Mubeen ki fath-o-zafar Ghaus-e-Pak hain
Unke nasab mein noor-e-Muhammad ﷺ hai jalwa-gar Beshak Hasan ؓ ke lakht-e-jigar Ghaus-e-Pak hain
Hain awliya ke yun to maratib juda juda In sab ke sarbarah magar Ghaus-e-Pak hain
Qurbat Khuda se aur qarabat Rasool ﷺ se Mehr-e-sipehr-e-nau-e-bashar Ghaus-e-Pak hain
Kya khoob hai Naseer ؒ yeh misra Ameer ؒ ka Allah bhi udhar hai jidhar Ghaus-e-Pak hain





