Maan ke Haidar, baap ke Zaid, aur Muhammad ﷺ ke Ali ؓteri hasti khama-e-qudrat ka shahkar-e-jali
Main bataaun khana-e-Ka'aba mein kyun paida hua Batn-e-madar mein hi tu tauheed ka shaida hua
Tera har lamha raha Shah-e-Rusul ke saaye mein! Jis tarah khushbu chadhe parwan gul ke saaye mein
Saath rakhte the mere Aaqa mahazon par tujhe Kyun na maanu quwwat-e-bazu-e-Paighambar tujhe
Naaz har maidan ko tha teri ada-e-harb par Saikdon sajde fida talwar ki ik zarb par
Ma'arifat ka ghar tera dil, maskan-e-hikmat dimagh Haath mein Islam ke, teri baseerat ke chiragh
Ek manzil ke musafir, sufiyon ke silsile Sab juda raston pe nikle sab hi tujh se ja mile
Teri chaukhat par zamane bhar ke ann-data girin Tu hai woh gehra samundar jis mein sab darya girin
Tere qatil ki adawat apne hathon mar gayi Hashr tak zinda tujhe teri shahadat kar gayi





