We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Khuda ke fazl se main hoon gada Farooq-e-Azam ka Khuda un ka Muhammad Mustafa Farooq-e-Azam ka


Karam Allah ka har dam Nabi ki mujh pe rahmat hai Mujhe hai do jahan mein aasra Farooq-e-Azam ka


Pase-Siddiq-e-Akbar Mustafa ke sab sahaba mein Hai beshak sab se ooncha martaba Farooq-e-Azam ka


Gali se un ki shetan dum daba kar bhaag jaata hai Hai aisa rub aisa dabdaba Farooq-e-Azam ka


Sahaba aur Ahle-Bait ki dil mein mohabbat hai Ba-faizan-e-Raza main hoon gada Farooq-e-Azam ka


Rahe teri ata se Ya Khuda! teri inayat se Hamare haath mein daaman sada Farooq-e-Azam ka


Bhatak sakta nahin hargiz kabhi woh seedhe raste se Karam jis bakht-war par ho gaya Farooq-e-Azam ka


Khuda ki khaas rahmat se Muhammad ki inayat se Jahannam mein na jaaye ga gada Farooq-e-Azam ka


Sada aansoo bahaaye jo gham-e-ishq-e-Muhammad mein De aisi aankh Ya Rabb! wasita Farooq-e-Azam ka


Mujhe hajj-o-ziyarat ki sa'adat ab inayat ho Waseela pesh karta hoon Khuda Farooq-e-Azam ka



Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play


Ilahi! ek muddat se meri aankhein tarasti hain Dikha de sabz gumbad wasita Farooq-e-Azam ka


Shahadat aye Khuda! Attar ko de de Madine mein Karam farma Ilahi! wasita Farooq-e-Azam ka

Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah