Ho gaya ya Ghaus main barbaad hote aap ke Reh gaya main be-kas-o-naashaad hote aap ke
Ghoom phir kar dekha sab darwaze mujh par band hain Ab kidhar jaaun Shah-e-Baghdad hote aap ke
Karbala walon ka sadqa mujh dukhi par reham kar Ab kahan ja kar karoon fariyaad hote aap ke
Des chhoota saare saathi chal diye munh mod kar Reh gaya pardes mein naashaad hote aap ke
Sayyida Baghdad waale yeh madad ka waqt hai Mujh pe kaisi pad gayi uftaad hote aap ke
Tum sakhi ibn-e-sakhi ibn-e-sakhi ho Khusrawa Yeh gada kis ko kare phir yaad hote aap ke
Tum Shah-e-Baghdad Maula main ghulam-e-khana zaad Ranj-o-gham se kyun na hoon azaad hote aap ke
Abdul Qadir aap hain har shay pe Qadir aap hain Phir kahoon kis se paye imdaad hote aap ke
Aap ka irshad-e-aali hai Mureedi la takhaf Ranj mein hai Salik-e-naashaad hote aap ke





