Hai rutba is liye kaunain mein Ismat ka Iffat ka Sharaf haasil hai un ko daaman-e-Zehra se nisbat ka
Jo jaana khuld mein ho paaye Zehra se lipat jaao Jise kehte hain jannat mulk hai Khatoon-e-Jannat ka
Nabi ke dil ki raahat aur Ali ke ghar ki zeenat hain Bayaan kis se ho in ki paak teenat paak tal'at ka
Inhi ke maah-paare do jahaan ke laaj waale hain Ye hi hain majma-e-bahrain sar-e-chashma-e-hidayat ka
Rasool-e-Allah ki jeeti jaagti tasveer ko dekha Kiya nazaara jin aankhon ne tafseer-e-nubuwwat ka
Batool o Fatimah Zehra laqab is waaste paaya Ke duniya mein rahein aur dein pata jannat ki nigat ka
Nabi ki laadli, biwi wali ki, maa shaheedon ki Yahan jalwa nubuwwat ka wilayat ka shahaadat ka
Ta'ala Allah us saadain ke jode ka kya kehna Ke rehmat ki dulhan Zehra, Ali dulha wilayat ka
Woh itrat jo ke ummat ke liye Quran-e-saani hai Nabi ka hai chaman ya'ni shajar us paak manbat ka
Woh chaadar jis ka aanchal chaand suraj ne nahi dekha Banegi hashr mein parda gunahgaaraan-e-ummat ka
Agar Saalik bhi ya Rab da'wa-e-jannat kare haq hai Jo woh Zehra ki hai ye bhi to hai Khatoon-e-Jannat ka





