Hami-e-deen-e-huda thay Shah Jilani Miyan Bil-yaqeen mard-e-Khuda thay Shah Jilani Miyan
Misl-e-gul hangam-e-rukhsat muskuratay hi rahay Paikar-e-sabr-o-raza thay Shah Jilani Miyan
Chal basay hum ko dikha kar raah seedhi khuld ki Deen-e-haq kay rehnuma thay Shah Jilani Miyan
Hijr ki na laye taab aakhirash jahi milay Aashiq-e-Khair-ul-Wara thay Shah Jilani Miyan
Un kay har irshad say har dil ki hoti thi jila Mazhar-e-shan-e-Khuda thay Shah Jilani Miyan
Maal-o-zar sab kuch nichawar rah-e-haq mein kar gaye Kaisay mukhlis peshwa thay Shah Jilani Miyan
Hum ko bin dekhay tumhein ab kaisay chain aaye Huzoor Tum shakeeb-e-aqraba thay Shah Jilani Miyan
Sabr-o-tasleem-o-raza ki ab hamein taufeeq day Teray banday ay Khuda thay Shah Jilani Miyan
Shor kaisa hai yeh barpa gaur say Akhtar suno Partau-e-Ahmad Raza thay Shah Jilani Miyan





