Gosh-e-dil se momino sun lo zara Hai yeh qissa Fatimah ke aqd ka
Pandrah saalah Nabi ki laadli Aur baa'is saal thi umr-e-Ali
Aqd ka paigham Haider ne diya Mustafa ne marhaba ahlan kaha
Peer ka din sattara 17 maah-e-Rajab Doosra san hijrat-e-Shah-e-Arab
Phir Madinah mein hua elaan-e-aam Zohar ke waqt aaein saare khaas-o-aam
Is khabar se shor barpa hogaya Koocha-o-bazaar mein ghul sa macha
Aaj hai Maula ki dukhtar ka nikah Aaj hai is naik akhtar ka nikah
Aaj hai is paak-o-sachi ka nikah Aaj hai be-maan ki bachi ka nikah
Khair se jab waqt aaya Zohar ka Masjid-e-Nabwi mein majma hogaya
Ek janib hain Abu Bakr-o-Umar Ek taraf Usman bhi hain jalwa-gar
Har taraf ashaab aur ansaar hain Darmiyaan mein Ahmad-e-Mukhtar hain
Saamne nosha Ali-e-Murtaza Haider-e-Karrar Shah-e-La Fata
Aaj goya arsh aaya hai utar Ya ke qudsi aagaye hain farsh par
Jama jab yeh saara majma hogaya Sayyad-ul-Konain ne khutba parha
Jab hue khutbe se faarigh Mustafa Aqd Zehra ka Ali se kardiya
Chaar sau misqaal chandi mehar tha Wazan jis ka dedh sau tola hua
Baad mein khurmay lutaye la-kalaam Ma-siwa is ke na tha koi ta'am
Un ke haq mein phir du'a-e-khair ki Aur har ik ne mubarakbaad di
Ghar se rukhsat jis ghari Zehra huein Waaldah ki yaad mein rone lagein
Di tasalli Ahmad-e-Mukhtar ne Aur farmaya Shah-e-Abrar ne
Fatimah har tarah se baala ho tum Maika-o-sasural mein aala ho tum
Baap tumhaare Imam-ul-Anbiya Aur shohar awliya ke peshwa
Maah-e-Zul-Hijjah mein jab rukhsat hui Tab Ali ke ghar mein ik daawat hui
Jis mein thin das seer jau ki rotiyaan Kuch paneer aur thore khurmay be-gumaan
Is ziyaafat ka valima naam hai Aur yeh daawat sunnat-e-Islam hai
Sab ko un ki raah chalna chahiye Aur buri rasmon se bachna chahiye





