Fatah kyun hasil na hoti khoon ko shamshir par Shimr qabiz ho gaya tha seena-e-Shabbir par
Do gawahon ki jagah hain dastakhat Quran ke Karbala mein khoon se likhi hui tahrir par
Saare mazloomon ki hai aawaaz, aawaaz-e-Hussain Bolta hai iska khoon har tegh par har teer par
Kat gaye faulad ke halqay bhi dhagay ki tarah Pyaas ne jab haath dala zulm ki zanjeer par
Har namaz iski shahadat ke musallay par parhoon Iski shah-rag ka likha hai naam har takbeer par
Deen jhootay basta-bardaron ki zad par aagaya Tukray tukray ho ke sheesha gir gaya tasveer par
Iski qurbani Muzaffar kar gayi zinda hamein Ban gaye kitnay mehal ik hasrat-e-tameer par





