Dil ne kaha Mujahid-e-Millat ko dhoondiye Le kar chiragh Shah-e-Wilayat ko dhoondiye
Main ne kaha ki sun ae dil-e-mubtala-e-gham Apni yeh kab majaal ki pa jayen un ko hum
Hum zer-e-aasman unhein yun dekhte rahe Woh kab ke aasman ke pare khuld mein gaye
Tum kya gaye Mujahid-e-Millat jahan gaya Aalim ki maut kya hai aalam ki hai fana
Main rehlat-e-Mujahid-e-Millat ko kya kahun Yun samjho gir gaya koi Islam ka satoon
Har su yeh keh rahe hain anadil chaman chaman Ae bulbul-e-Madinah kahan hai tu khush-dahan
Woh yaadgar-e-Hujjat-ul-Islam ab nahin Andohgeen hai aaj shabistan-e-ilm-e-deen
Nasreen-e-gulistan aan Sadr-ush-Shari'ah bood Booye khodash guzashta andar chaman bood
Khursheed-e-Sunniyat ne aah chadar jo odh li Zulmat mein qafiley ki woh raftar tham gayi
Paik-e-Nida-o-Ghufran, un ki wafaat thi Akhtar khushi manao visaal-e-habib ki





