Dikhaye hijrat-e-Nabi ﷺ ko apne ghau Karbala Tamam markon ka aakhri parau Karbala
Na dekha hoga aisa qafila bhi aasman ne Hawaein baadbaan, lahu-e-Furat, naau Karbala
Raza-e-Haq pe ghar ka ghar luta diya Hussain ne Bata gayi hamein sadaqaton ka bhau Karbala
Shariat-e-Rasool ﷺ ko Yazid koi gher le Toh sar hatheliyon pe le ke khud hi jaau Karbala
Lari hai, is tarah ki jang kya kisi bhi qaum ne Kisi bhi askari kitab mein dikhau Karbala
Lahu ke haar ahl-e-sabr ke gale mein daal kar Sikhaye maut ko bhi zindagi ke daau Karbala
Kate hue tamam sar toh hain har ek jism par Tumhari qabr hai zameen ke khudau Karbala
Muzaffar us taraf Hussain lashkar-e-Yazid idhar Idhar bahaar Karbala idhar alaau Karbala





