Dar par jo tere aa gaya Baghdad wale murshid Man ki muraadein pa gaya Baghdad wale murshid
Lene shifa-e-kaamila darbaar mein aye kaamil Beemar-e-isyaan aa gaya Baghdad wale murshid
Jo koi teera bakht yahan ho gaya hai haazir Roshan naseeba pa gaya Baghdad wale murshid
Qadmon mein tere duniya ke jhanjhat se bas nikal kar Jo aa gaya so pa gaya Baghdad wale murshid
Jab bhi tadap ke keh diya "Ya Ghous al-madad" tab Imdaad ko tu aa gaya Baghdad wale murshid
Jis ne lagaya zor se Ya Ghous ka hai naara Woh dushmanon pe chha gaya Baghdad wale murshid
Bedar Bakht woh hai haqeeqat mein jis ko jalwa Tu khwab mein dikha gaya Baghdad wale murshid
Imaan us ka bach gaya shaitan se, jo tere Hai "silsile" mein aa gaya Baghdad wale murshid
Kyun naz' o qabr o hashr ka dar ab mureedon ko ho Tu "la takhaf" suna gaya Baghdad wale murshid
Deedar bhi kara de mujhe kalma bhi padha de Ab waqt-e-rihlat aa gaya Baghdad wale murshid
Attar aa ke kaash! yeh darbaar mein kahe phir Baghdad mein phir aa gaya Baghdad wale murshid





